Monday, October 4, 2010

meet a LEGEND write LAXMAN RAO

main guzar raha tha hindi bhawan ke samne se to najar padi usi ke bagal mein ek chay ki dukan par jaha ek vyakti jisake baal pake huye the, aur wahi lagbhag 50 saal ka vyakti lag raha tha aur chay bana raha tha usake theek bagal mein ek lakdi ka thela tha jis pa kuchh kitabein thi kitabo ko kholnae par pata chala ki ye kitabein rashtrapai se sammaan pa chuki t apne aap hi kitab ko palatne ka jee kar gaya. kitab ka naam tha RENU. waha aur bhi kayi kitabein thi jaise parampara se judi bharatya rajneeti etc. lekin un kitabo ke pehale panne ke baad rashtrapati se sammaan paate huye jis vyakti ki photo thi wo us chay banane vale ki thi jiska naam hai LAXMAN RAO ek jaane maane hindi ke lekhak. To phir man kar gaya unse milane ka unse baatein huyi bahut guftgu ki maine unse aur pata chala ki kayi media walo bahut pehale kayi baar unke upar articles likhe hain. maine unse ek kitab kaharidi aur us unse unka autographa liya. unhone chay phi pilaya aur album mein unki photos thi wo bhi dikhaya. aur maine wo photos apne mobile click kar li. ye vidambana hi to hai ki hindi ke itane mahaan lekhak jinhone apni kitabe khud cycle par ghum ghum kar bechi hain aur HINDI BHAWAN ke bagal mein hi unki ye sthiti hai ki wo chay bech rahe hain. unki photos maine upload ki hain.......

Pages